kal  us  ne  pūchh  hī  Daalā
tum  āḳhir  kaun  ho  mere
hamāre  darmiyāñ
jo  ik  ta.alluq  hai
kuchh  batāoge
to  maiñ  ne  kah  diyā
rishta  vahī  hai  darmiyāñ  apne
jo  āñkhoñ  kā  hai  nīñdoñ  se
jo  nīñdoñ  kā  hai  ḳhvāboñ  se
jo  sūraj-chāñd  kā  hai  is  zamīñ  se
aur  zamīñ  kā  peḌ-paudoñ  se
jo  miTTī  kā  bashar  se  hai
bashar  kā  jo  ḳhudā  se  hai
mohabbat  kā  diloñ  se  hai
vahī  dil
mohabbat  jis  ke  andar  hai
mohabbat  kā  hasīñ  rishta  vahī  hai  darmiyāñ  apne
ab  is  rishte  ko  koī  naam  dene  kī  zarūrat  hai