ik  din  apne  kamre  meñ  maiñ
baiThā  baiThā  soch  rahā  thā
ghar  meñ  ik  kamra  hai  jahāñ  par
bahut  sī  chīzeñ  paḌīñ  huī  haiñ
ik  lāThī  hai  ik  baTva  hai
katthe  chūne  kī  Dibiyā  hai
Tañgī  hai  kone  meñ  ik  chhatrī  kaalī  kaalī
jis  ko  chūhoñ  ne  qatra  hai  jagah  jagah  se
ik  lakḌī  kī  kursī  bhī  hai
būḌhī  sī  aur  lañgḌī-lūlī
is  kamre  ke  ik  kone  meñ
ik  chaupā.ī  paḌī  huī  hai
bilkul  us  ke  baazū  meñ  hī
būḌhā  sā  ik  taḳht  rakhā  hai
taḳht  ke  aage  bilkul  aage
chīte  kī  ik  khaal  paḌī  hai
kuchh  hirno  ke  sar  bhī  haiñ  dīvār  pe  laTke  ab  tak
jin  ke  uupar  ab  chiḌiyoñ  ne  apne  apne  tāj-mahal  ta.amīr  kiye  hai
kuchh  talvāreñ  ḳhuuñ  kī  pyāsī  pyaas  bujhāne  taḌap  rahīñ  haiñ
ik  tote  kā  piñjra  bhī  hai
ek  surāhī  rakkhī  huī  hai
ik  bīmār  sā  huqqa  bhī  hai
khāñstā  rahtā  hai  jo  ab
ik  lakḌī  kī  almārī  bhī  kone  meñ  ḳhāmosh  khaḌī  hai
jis  meñ  kuchh  bosīda  kapḌe  rakkhe  hue  haiñ
ik  sandūq  hai  jis  ke  andar  kuchh  zevar  haiñ
jinkī  qīmat  ab  bāzār  meñ  kuchh  bhī  nahīñ
ek  tijorī  bhī  rakkhī  hai
jis  ko  dekh  ke  ab  tak  saarī  chīzeñ  jaltī  haiñ
ik  nā-bīnā  chashma  bhī  hai
ik  pagḌī  bhī  rakkhī  huī  hai
kuchh  juute  chappal  bhī  haiñ  jo
auñdhe  chitte  leTe  haiñ
TūTe-phūTe  se  ik  do  haath  ke  pañkhe  bhī  haiñ
aur  ik  taaq  meñ  chand  kitābeñ
bhūkī  pyāsī  chīkh  rahīñ  haiñ
ik  kone  meñ  kuchh  tasvīreñ  paḌī  huī  haiñ
mere  purkhoñ  kī  tasvīreñ
purkhoñ  kī  ye  shān-o-shaukat
ik  kamre  meñ  band  paḌī  hai