ye  tājirān-e-dīn  haiñ
ḳhudā  ke  ghar  makīn  haiñ
na  kar  sake  ye  tum  agar
ye  tājirān-e-pesha-var
ḳhudā  ke  jitne  ruup  haiñ
unhoñ  ne  ḳhud  banā.e  haiñ
har  ik  dukān  par  yahāñ
nayā  ḳhudā  sajā  huā
ḳhudā  kī  bhī  sune  koī
vo  kah  rahā  hai  bas  yahī
na  ḳhud  tum  apnī  jaan  lo
ki  tum  hī  merī  jaan  ho
jo  bechte  haiñ  apne  ghar
sajā  ke  mere  naam  par