sab  ki  sunte  raho
pyaar  karte  raho
chāhe  boleñ  na  vo
lab  ko  kholeñ  na  vo
apnā  jo  farz  hai
is  tarah  ho  adā
koī  jo  kuchh  kahe
us  ki  sunte  raho
be-ḳhayālī  meñ  hī
lab  agar  khul  jaa.eñ
yuuñ  samajh  luuñ  ki  phir
silsile  jitne  the
masle  sab  ke  sab
haiñ  safed-o-siyāh
dil  meñ  gar  pyaar  ho
lab  pe  iqrār  ho
mudda.ā  ek  hai
ik  hamārī  hai  kyā
bus  ḳhudā  kī  tarah
sab  kī  sunte  raho
kahne  sunñe  se  to
kuchh  badaltā  nahīñ
vaqt  kam  hai  bahut
itne  kam  vaqt  meñ