maiñ  ne  jo  zulm  kabhī  tujh  se  ravā  rakkhā  thā
aaj  usī  zulm  ke  phande  meñ  giraftār  huuñ  maiñ
maiñ  ne  chāhā  thā  ki  insān  kī  azmat  ke  liye
ek  mazlūm  javānī  ko  sahārā  de  duuñ
maiñ  ne  iḳhlās  ke  phūloñ  se  banā.e  gajre
maiñ  ne  iḳhlās  ke  phūloñ  se  banā.e  gajre
aaj  maiñ  soch  rahā  huuñ  shab-e-tanhā.ī  meñ
kis  qadar  talḳh  javānī  kī  luTī  yādeñ  haiñ
ye  mohabbat  ye  vafā.eñ  ye  muravvat  ye  ḳhulūs
in  ko  sarmā.e  ne  be-kār  banā  rakkhā  hai