jab  bhī  tanhā  mujhe  paate  haiñ  guzarte  lamhe
terī  tasvīr  sī  rāhoñ  meñ  bichhā  jaate  haiñ
mere  bechain  ḳhayāloñ  pe  ubharne  vaalī
apne  ḳhvāboñ  se  na  bahlā  merī  tanhā.ī  ko
jab  ḳhayāloñ  meñ  tire  jism  ko  chhū  letā  huuñ
zindagī  sho.ala-e-māzī  se  jhulas  jaatī  hai
ham-safar  tujh  ko  kahūñ  yā  tujhe  rahzan  samjhūñ
raah  meñ  lā  ke  mujhe  chhoḌ  diyā  hai  tū  ne
maazī  o  haal  kī  tafrīq  vo  qurbat  ye  firāq
pyaar  gulshan  se  chalā  aayā  hai  zindānoñ  meñ
ġhair  se  resham-o-kam-ḳhvāb  kī  rāhat  pā  kar
tū  mujhe  yaad  bhī  aa.egī  to  kyā  aa.egī
aur  maiñ  pyaar  kī  taqdīs  pe  marne  vaalā
dard  ban  kar  tire  ehsās  meñ  bas  jā.ūñgā