itnī  muddat  dil-e-āvāra  kahāñ  thā  ki  tujhe
apne  hī  ghar  ke  dar-o-bām  bhulā  baiThe  haiñ
to  samajhtā  thā  ki  ye  dar-badarī  kā  aalam
duur  desoñ  kī  ināyat  thā  so  ab  ḳhatm  huā
ab  jo  tū  shahr-e-nigārāñ  meñ  qadam  rakkhegā
har  taraf  khilte  chale  jā.eñge  chehroñ  ke  gulāb
jab  bhī  gā.egī  koī  ġhairat-e-nāhīd  ġhazal
sab  ko  aa.egā  nazar  sho.ala-e-āvāz  meñ  tū
maa.eñ  rakkheñgī  tire  naam  pe  aulād  kā  naam
baap  beToñ  ke  liye  terī  bayāzeñ  leñge
log  ulfat  ke  khilaune  liye  bachchoñ  kī  tarah
kal  ke  rūThe  hue  yāroñ  ko  manā  lā.eñge
lekin  aisā  nahīñ  aisā  nahīñ  ai  dil  ai  dil
ye  tirā  des  ye  tere  dar-o-dīvār  nahīñ
sar  kisī  kā  bhī  dikhā.ī  nahīñ  detā  hai  yahāñ
jism  hī  jism  haiñ  dastāreñ  hī  dastāreñ  haiñ
ab  na  tiflāñ  ko  ḳhabar  hai  kisī  dīvāne  kī
aur  na  āvāz  ki  ''o  chaak  garebāñ  vāle''