guzar  ga.e  ka.ī  mausam  ka.ī  ruteñ  badlīñ
udaas  tum  bhī  ho  yaaro  udaas  ham  bhī  haiñ
tumhāre  baam  kī  sham.eñ  bhī  tābnāk  nahīñ
mire  falak  ke  sitāre  bhī  zard  zard  se  haiñ
na  tum  ko  apne  ḳhad-o-ḳhāl  hī  nazar  aa.eñ
na  maiñ  ye  dekh  sakūñ  jaam  meñ  bharā  kyā  hai
na  sarv  meñ  vo  ġhurūr-e-kashīda-qāmatī  hai
na  qumriyoñ  kī  udāsī  meñ  kuchh  kamī  aa.ī
tumheñ  bhī  zid  hai  ki  mashq-e-sitam  rahe  jaarī
hameñ  bhī  naaz  ki  jaur-o-jafā  ke  aadī  haiñ
sitam  to  ye  hai  ki  donoñ  ke  marġh-zāroñ  se
havā-e-fitna  o  bū-e-fasād  aatī  hai
to  ab  ye  haal  huā  is  darindagī  ke  sabab
tumhāre  paañv  salāmat  rahe  na  haath  mire
hamāre  shahroñ  kī  majbūr  o  be-navā  maḳhlūq
dabī  huī  hai  dukhoñ  ke  hazār  Dheroñ  meñ
charāġh  jin  se  mohabbat  kī  raushnī  phaile
charāġh  jin  se  diloñ  ke  dayār  raushan  hoñ
tumhāre  des  meñ  aayā  huuñ  dosto  ab  ke
na  sāz-o-naġhma  kī  mahfil  na  shā.irī  ke  liye