ab  mire  dūsre  baazū  pe  vo  shamshīr  hai  jo
is  se  pahle  bhī  mirā  nisf  badan  kaaT  chukī
phir  vahī  aag  dar  aa.ī  hai  mirī  galiyoñ  meñ
phir  mire  shahr  meñ  bārūd  kī  bū  phailī  hai
mirī  bastī  se  pare  bhī  mire  dushman  hoñge
par  yahāñ  kab  koī  aġhyār  kā  lashkar  utrā
phir  vahī  ḳhauf  kī  dīvār  tazabzub  kī  fazā
phir  vahī  aam  huiiñ  ahl-e-riyā  kī  bāteñ
is  se  pahle  bhī  to  aisī  hī  ghaḌī  aa.ī  thī
sub.h-e-vahshat  kī  tarah  shām-e-ġharībāñ  kī  tarah
phir  kahāñ  ahmarīñ  hoñToñ  pe  duāoñ  ke  diye
phir  kahāñ  shabnamīñ  chehroñ  pe  rifāqat  kī  ridā
dil-nashīñ  āñkhoñ  meñ  furqat-zada  kājal  royā
shāḳh-e-bāzū  ke  liye  zulf  kā  bādal  royā
aaj  aisā  nahīñ  aisā  nahīñ  hone  denā
ai  mire  soḳhta-jāno  mire  piyāre  logo