mile  to  ham  aaj  bhī  haiñ  lekin
na  mere  dil  meñ  vo  tishnagī  thī
ki  tujh  se  mil  kar  kabhī  na  bichhḌūñ
na  aaj  tujh  meñ  vo  zindagī  thī
ki  jism-o-jāñ  meñ  ubaal  aa.e
na  ḳhvāb-zāroñ  meñ  raushnī  thī
na  merī  āñkheñ  charāġh  kī  lau
na  tujh  meñ  hī  ḳhud-supurdagī  thī
na  baat  karne  kī  koī  ḳhvāhish
na  chup  hī  meñ  ḳhūb-sūratī  thī
mujassamoñ  kī  tarah  the  donoñ
na  dostī  thī  na  dushmanī  thī
mujhe  to  kuchh  yuuñ  lagā  hai  jaise
vo  sā.ateñ  bhī  guzar  ga.ī  haiñ
ki  jin  ko  ham  lā-zavāl  samjhe
vo  ḳhvāhisheñ  bhī  to  mar  ga.ī  haiñ
jo  tere  mere  lahū  kī  hiddat
ko  āḳhirash  barf  kar  ga.ī  haiñ
mohabbateñ  shauq  kī  chaTānoñ
se  ghāTiyoñ  meñ  utar  ga.ī  haiñ
vo  qurbateñ  vo  judā.iyāñ  sab
ġhubār  ban  kar  bikhar  ga.ī  haiñ
agar  ye  sab  kuchh  nahīñ  to  batlā
vo  chāhateñ  ab  kidhar  ga.ī  haiñ