ham  ḳhvāboñ  ke  byopārī  the
par  is  meñ  huā  nuqsān  baḌā
jab  dhartī  sahrā  sahrā  thī
ham  dariyā  dariyā  ro.e  the
kuchh  ḳhvāb  sajal  muskānoñ  ke
kuchh  bol  kabat  dīvānoñ  ke
par  apnī  ghāyal  āñkhoñ  se
ḳhush  ho  ke  lahū  chhiḌkāyā  thā
har  baar  gagan  ne  vahm  diyā
ab  ke  barkhā  jab  aa.egī
jab  fasl  kaTī  to  kyā  dekhā
kuchh  dard  ke  TuuTe  gajre  the
ab  paañv  khaḌā.ūñ  dhūl-bharī
aur  jism  pe  jog  kā  cholā  hai
ab  ghaaT  na  ghar  dahlīz  na  dar
ab  paas  rahā  hai  kyā  baabā