kis  se  Darte  ho  ki  sab  log  tumhārī  hī  tarah
ek  se  haiñ  vahī  āñkheñ  vahī  chehre  vahī  dil
ham  to  vo  the  ki  mohabbat  thā  vatīra  jin  kā
pyaar  se  miltā  to  dushman  ke  bhī  ho  jaate  the
ham  to  aa.e  the  ki  dekheñge  tumhāre  qarye
vo  dar-o-bām  ki  tārīḳh  ke  sūrat-gar  haiñ
rome  ke  but  hoñ  ki  paris  kī  ho  monalisa
keats  kī  qabr  ho  yā  turbat-e-firdausī  ho
kis  ne  duniyā  ko  bhī  daulat  kī  tarah  bāñTā  hai
kis  ne  taqsīm  kiye  haiñ  ye  asāse  saare