sar-dard  meñ  golī  ye  baḌī  zūd-asar  hai
par  thoḌā  sā  nuqsān  bhī  ho  saktā  hai  is  se
ho  saktī  hai  paidā  koī  tabḳhīr  kī  sūrat
dil  tañg-o-pareshān  bhī  ho  saktā  hai  is  se
ho  saktī  hai  kuchh  saql-e-samā.at  kī  shikāyat
be-kār  koī  kaan  bhī  ho  saktā  hai  is  se
mumkin  hai  ḳharābī  koī  ho  jaa.e  jigar  meñ
haañ  aap  ko  yarqān  bhī  ho  saktā  hai  is  se
paḌ  saktī  hai  kuchh  jild-ḳharāshī  kī  zarūrat
ḳhārish  kā  kuchh  imkān  bhī  ho  saktā  hai  is  se
ho  saktī  haiñ  yādeñ  bhī  zarā  sī  mutā.assir
ma.amūlī  sā  nisyān  bhī  ho  saktā  hai  is  se
bīnā.ī  ke  haq  meñ  bhī  ye  golī  nahīñ  achchhī
diida  koī  hairān  bhī  ho  saktā  hai  is  se
ho  saktā  hai  lāhaq  koī  pechīda  maraz  bhī
gurda  koī  vīrān  bhī  ho  saktā  hai  is  se
mumkin  hai  ki  ho  jaa.e  nasha  is  se  zarā  sā
phir  aap  kā  chālān  bhī  ho  saktā  hai  is  se