tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
jab  sehn-e-chaman  meñ  kaliyāñ  khil  kar  phuul  kī  sūrat  hotī  haiñ
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
jab  barkhā  kī  rut  aatī  hai  jab  kaalī  ghaTā.eñ  uThtī  haiñ
jis  vaqt  ki  rindoñ  ke  dil  se  hū-haq  kī  sadā.eñ  uThtī  haiñ
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
jab  meñh  kī  phuvāreñ  paḌtī  haiñ  jab  ThanDī  havā.eñ  aatī  haiñ
jab  sehn-e-chaman  se  ghabrā  kar  pī  pī  kī  sadā.eñ  aatī  haiñ
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
jab  chaudhvīñ  shab  kā  chāñd  nikal  kar  dahr  munavvar  kartā  hai
jab  koī  mohabbat  kā  maarā  kuchh  ThanDī  sāñseñ  bhartā  hai
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
jab  raat  kī  zulmat  ghaTtī  hai  jab  sub.h  kā  nuur  ubhartā  hai
jab  koyal  kuukū  kartī  hai  jab  panchhī  pī  pī  kartā  hai
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
jab  koī  kisī  kā  haath  pakaḌ  kar  sair  ko  bāhar  jaatā  hai
jab  koī  nigāh-e-shauq  ke  aage  rah  rah  kar  ghabrātā  hai
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
jab  chaar  nigāheñ  kar  ke  koī  mahv-e-tabassum  hotā  hai
jab  koī  mohabbat  kā  maarā  us  kaif  meñ  paḌ  kar  khotā  hai
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
aflāk  pe  jab  ye  lākhoñ  taare  jagmag  jagmag  kartī  haiñ
jab  taare  gin  gin  kar  dil  vaale  ThanDī  sāñseñ  bharte  haiñ
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
jab  raat  kā  baḌhtā  hai  sannāTā  chain  se  duniyā  sotī  hai
tab  aañkh  mirī  khul  jaatī  hai  aur  dil  kī  rag  rag  rotī  hai
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
jab  rotā  hai  bahzād-e-'hazīñ'  vo  shā.ir  vo  dīvāna  sā
vo  dil  vaalā  vo  saudā.ī  vo  duniyā  se  begāna  sā
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho
tum  yaad  mujhe  aa  jaate  ho