Asrar jaamayee

shaitan ka farman

Asrar jaamayee

Bihar, India

uTTho mire mahbūb murīdoñ ko jagā do

fankār ko iblīs paiġhām sunā do

jis mulk meñ yāroñ ko mayassar na ho wine

us mulk har ḳhosha-e-añgūr jalā do

garmāo adīboñ lahū whiskey o rum se

shā.er koī mil jaa.e to Tharrā pilā do

leader jo nazar aa.e to bolo ye adab se

taqrīr meñ tum garmi-e-whiskey se jilā do

paper ke editor se agar kaam ho lenā

chup-chāp se office meñ beer us ko pilā do

har bazm meñ añgūr beTī ko bulāo

mullā se añdhere meñ gale us ko lagā do

shā.er koī mahfil meñ agar ke na aa.e

vo paḌh na sake apnī ġhazal shor machā do

arbāb-e-tadabbur jo haiñ aulād hamārī

in ko mirā har falsafa-e-zīst sikhā do

ehsās-e-hamiyyat na rahe dil meñ kisī ke

petrol chhiḌak kar his-e-ġhairat ko jalā do

us shā.er-e-gustāḳh ko 'asrār'-e-suḳhan ko

is nazm taḳhlīq pe phāñsī sazā do

Top Urdushayar.com