Sahir Ludhianvi

nazr-e-collage

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980

ai sar-zamīn-e-pāk ke yārān-e-nek-nām

bā-sad ḳhulūs shā.ir-e-āvāra hai naam

ai vādī-e-jamīl mire dil dhaḌkaneñ

ādāb kah rahī haiñ tirī bārgāh meñ

aaj bhī hai mere liye jannat-e-ḳhayāl

haiñ tujh meñ dafn merī javānī ke chaar saal

kumlā.e haiñ yahāñ pe mirī zindagī ke phuul

in rāstoñ meñ dafn haiñ merī ḳhushī ke phuul

terī navāzishoñ ko bhulāyā na jā.egā

maazī naqsh dil se miTāyā na jā.egā

terī nashāt-ḳhez fazā-e-javāñ ḳhair

gul-hā-e-rañg-o-bū ke hasīñ kārvāñ ḳhair

daur-e-ḳhizāñ meñ bhī tirī kaliyāñ khilī raheñ

tā-hashr ye hasīn fazā.eñ basī raheñ

ham ek ḳhaar the jo chaman se nikal ga.e

nañg-e-vatan the hadd-e-vatan se nikal ga.e

gaa.e haiñ is fazā meñ vafāoñ ke raag bhī

naġhmāt-e-ātishīñ se bikherī hai aag bhī

sarkash bane haiñ giit baġhāvat ke gaa.e haiñ

barsoñ na.e nizām ke naqshe banā.e haiñ

naġhma nashāt-e-rūh gaayā hai bārhā

gītoñ meñ āñsuoñ ko chhupāyā hai bārhā

ma.asūmiyoñ ke jurm meñ badnām bhī hue

tere tufail morid-e-ilzām bhī hue

lekin ham in fazāoñ ke paale hue to haiñ

giryāñ nahīñ to yaañ se nikāle hue to haiñ

Top Urdushayar.com