Sahir Ludhianvi

KHuda-e-bartar teri zamin par zamin ki KHatir ye jang kyun hai

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
ḳhudā-e-bartar tirī zamīñ par zamīñ kī ḳhātir ye jañg kyuuñ hai
har ek fat.h-o-zafar ke dāman pe ḳhūn-e-insān kā rañg kyuuñ hai
zamīñ bhī terī hai ham bhī tere ye milkiyat kā savāl kyā hai
ye qatl-o-ḳhūñ kā rivāj kyuuñ hai ye rasm-e-jañg-o-jidāl kyā hai
jinheñ talab hai jahān bhar kī unhīñ kā dil itnā tañg kyuuñ hai
ḳhudā-e-bartar terī zamīñ par zamīñ kī ḳhātir ye jañg kyuuñ hai
ġharīb maaoñ sharīf bahnoñ ko aman-o-izzat kī zindagī de
jinheñ atā kī hai tū ne tāqat unheñ hidāyat kī raushnī de
suroñ meñ kibr-o-ġhurūr kyuuñ hai diloñ ke shīshe ye rañg kyuuñ hai
ḳhudā-e-bartar tirī zamīñ par zamīñ kī ḳhātir ye jañg kyuuñ hai
Top Urdushayar.com