apne  maazī  ke  tasavvur  se  hirāsāñ  huuñ  maiñ
apne  guzre  hue  ayyām  se  nafrat  hai  mujhe
mere  maazī  ko  andhere  meñ  dabā  rahne  do
merā  maazī  mirī  zillat  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
kitnī  be-kār  umīdoñ  kā  sahārā  le  kar
maiñ  ne  aivān  sajā.e  the  kisī  kī  ḳhātir
mujh  se  ab  merī  mohabbat  ke  fasāne  na  kaho
mujh  ko  kahne  do  ki  maiñ  ne  unheñ  chāhā  hī  nahīñ
mujh  ko  kahne  do  ki  maiñ  aaj  bhī  jī  saktā  huuñ
ishq  nākām  sahī  zindagī  nākām  nahīñ
vahī  gesū  vahī  nazreñ  vahī  aariz  vahī  jism
maiñ  jo  chāhūñ  to  mujhe  aur  bhī  mil  sakte  haiñ