ḳhabar  nahīñ  ki  balā-ḳhāna-e-salāsil  meñ
tirī  hayāt-e-sitam-āshnā  pe  kyā  guzrī
ḳhabar  nahīñ  ki  nigār-e-sahar  kī  hasrat  meñ
tamām  raat  charāġh-e-vafā  pe  kyā  guzrī
magar  vo  dekh  fazā  meñ  ġhubār  sā  uTThā
vo  tere  surḳh  javānoñ  ke  rāhvār  aa.e
nazar  uThā  ki  vo  tere  vatan  ke  mehnat-kash
gale  se  kohna  ġhulāmī  kā  tauq  utaar  aa.e
ufuq  pe  sub.h-e-bahārāñ  kī  aamad  aamad  hai
fazā  meñ  surḳh  phareroñ  ke  phuul  khilte  haiñ
zamīn  ḳhanda-ba-lab  hai  shafīq  maañ  kī  tarah
ki  us  kī  god  meñ  bichhḌe  rafīq  milte  haiñ
shikast-e-majlish-o-zindāñ  kā  vaqt  aa  pahuñchā
vo  tere  ḳhvāb  haqīqat  meñ  Dhaal  aa.e  haiñ
nazar  uThā  ki  tire  des  kī  fazāoñ  par
na.ī  bahār  na.ī  jannatoñ  ke  saa.e  meñ
darīda-tan  hai  vo  qahbā-e-sīm-o-zar  jis  ko
bahut  sambhāl  ke  laa.e  the  shātirān-e-kuhan
rabāb  chheḌ  ġhazal-ḳhvāñ  ho  raqs-farmā  ho
ki  jashn-e-nusrat-e-mehnat  hai  jashn-e-nusrat-e-fan
maiñ  tujh  se  duur  sahī  lekin  ai  rafīq  mire
tirī  vafā  ko  mirī  jehd-e-mustaqil  kā  salām
tire  vatan  ko  tirī  arz-e-bā-hamīyyat  ko
dhaḌakte  khaulte  hindostāñ  ke  dil  kā  salām