Sahir Ludhianvi

diwaron ka jangal jis ka aabaadi hai nam

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
dīvāroñ kā jañgal jis kā ābādī hai naam
bāhar se chup chup lagtā hai andar se kohrām
dīvāroñ ke is jañgal meñ bhaTak rahe insān
apne apne uljhe dāman jhaTak rahe insān
apnī biitī chhoḌ ke aa.e kaun kisī ke kaam
bāhar se chup chup lagtā hai andar se kohrām
siine ḳhālī āñkheñ suunī chehre pe hairānī
jitne ghane hañgāme us meñ utnī ghanī vīrānī
rāteñ qātil sub.heñ mujrim mulzim hai har shaam
bāhar se chup chup lagtā hai andar hai kohrām
haal na pūchheñ dard na bāñTeñ us jañgal ke log
apnā apnā sukh hai sab kā apnā apnā sog
koī nahīñ jo haath baḌhā kar girtoñ ko le thaam
bāhar se chup chup lagtā hai andar hai kohrām
bebas ko doshī Thahrā.e us jañgal kā nayāy
sach kī laash pe koī na ro.e jhuuT ko siis navā.e
patthar kī un dīvāroñ meñ patthar ho ga.e raam
bāhar se chup chup lagtā hai andar hai kohrām
Top Urdushayar.com