Sahir Ludhianvi

mufahamat

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
nasheb-e-arz pe zarroñ ko mushta.il pā kar
bulandiyoñ pe safed-o-siyāh mil hī ga.e
jo yādgār the bāham satīza-kārī kī
ba-faiz-e-vaqt vo dāman ke chaak sil hī ga.e
jihād ḳhatm huā daur-e-āshtī aayā
sambhal ke baiTh ga.e mahmaloñ meñ dīvāne
hujūm tishna-labāñ kī nigāh se ojhal
chhalak rahe haiñ sharāb-e-havas ke paimāne
ye jashn jashn-e-masarrat nahīñ tamāshā hai
na.e libās meñ niklā hai rahzanī kā julūs
hazār sham-e-uḳhuvvat bujhā ke chamke haiñ
ye tīrgī ke ubhāre hue hasīñ fānūs
ye shāḳh-e-nūr jise zulmatoñ ne sīñchā hai
agar phalī to sharāroñ ke phuul lā.egī
ye phal sakī to na.ī fasl-e-gul ke aane tak
zamīr-e-arz meñ ik zahr chhoḌ jā.egī
Top Urdushayar.com