Sahir Ludhianvi

lab pe pabandi to hai

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980

lab pe pābandī to hai ehsās par pahrā to hai

phir bhī ahl-e-dil ko ahvāl-e-bashar kahnā to hai

ḳhūn-e-a.adā se na ho ḳhūn-e-shahīdāñ se ho

kuchh na kuchh is daur meñ rañg-e-chaman nikhrā to hai

apnī ġhairat bech Dālīñ apnā maslak chhoḌ deñ

rahnumāoñ meñ bhī kuchh logoñ ye manshā to hai

hai jinheñ sab se ziyāda dāvā-e-hubbulvatan

aaj un vaj.h se hubb-e-vatan rusvā to hai

bujh rahe haiñ ek ik kar ke aqīdoñ ke diye

is añdhere bhī lekin sāmnā karnā to hai

jhuuT kyuuñ bolīñ faroġh-e-maslahat ke naam par

zindagī pyārī sahī lekin hameñ marnā to hai

Top Urdushayar.com