mere ḳhvāboñ ke jharokoñ ko sajāne vaalī
tere ḳhvāboñ meñ kahīñ merā guzar hai ki nahīñ
chaar din kī ye rifāqat jo rifāqat bhī nahīñ
umr bhar ke liye āzār huī jaatī hai
merī ujḌī huī nīndoñ ke shabistānoñ meñ
tū kisī ḳhvāb ke paikar kī tarah aa.ī hai
pyaar par bas to nahīñ hai mirā lekin phir bhī
tū batā de ki tujhe pyaar karūñ yā na karūñ
tū kisī aur ke dāman kī kalī hai lekin
merī rāteñ tirī ḳhushbū se basī rahtī haiñ
tere hāthoñ kī harārat tire sāñsoñ kī mahak
tairtī rahtī hai ehsās kī pahnā.ī meñ
terā altāf-o-karam ek haqīqat hai magar
ye haqīqat bhī haqīqat meñ fasāna hī na ho
kaun jaane mire imroz kā fardā kyā hai
qurbateñ baḌh ke pashemān bhī ho jaatī haiñ
merī darmāñda javānī kī tamannāoñ ke
muzmahil ḳhvāb kī tābīr batā de mujh ko