Sahir Ludhianvi

KHud-kushi se pahle

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
uf ye bedard siyāhī ye havā ke jhoñke
kis ko ma.alūm hai is shab kī sahar ho ki na ho
abhī raushan haiñ tire garm shabistāñ ke diye
nīl-gūñ pardoñ se chhantī haiñ shuā.eñ ab tak
sard hotī huī battī ke dhueñ ke hamrāh
haath phailā.e baḌhe aate haiñ ojhal saa.e
aah ye ġhār-e-halākat ye diye kā mahbas
umar apnī inhī tārīk makānoñ meñ kaTī
kitnī āsā.isheñ hañstī rahīñ aivānoñ meñ
kitne dar merī javānī pe sadā band rahe
zulm sahte hue insānoñ ke is maqtal meñ
koī fardā ke tasavvur se kahāñ tak bahle
vahī zulmat hai fazāoñ pe abhī tak taarī
jaane kab ḳhatm ho insāñ ke lahū kī taqtīr
abhī raushan haiñ tire garm shabistāñ ke diye
aaj maiñ maut ke ġhāroñ meñ utar jā.ūñgā
Top Urdushayar.com