Sahir Ludhianvi

apne andar zara jhank mere watan

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980

apne andar zarā jhāñk mere vatan

apne aiboñ ko mat Dhāñk mere vatan

terā itihās hai ḳhuuñ meñ luthḌā huā

abhī tak hai duniyā meñ bichhḌā huā

ne apnoñ ko apnā na maanā kabhī

ne insāñ ko insāñ na jaanā kabhī

tere dharmoñ ne zātoñ taqsīm

tirī rasmoñ ne nafrat ta.alīm

vahshatoñ chalan tujh meñ jaarī rahā

qatl-o-ḳhūñ junūñ tujh pe taarī rahā

apne andar zarā jhāñk mere vatan

darāviḌ hai āriya nasl hai

jo bhī hai ab isī ḳhaak fasl hai

rañg aur nasl ke dā.ere se nikal

gir chukā hai bahut der ab to sambhal

tere dil se jo nafrat na miT pā.egī

tere ghar meñ ġhulāmī palaT aa.egī

terī barbādiyoñ tujhe vāsta

DhūñD apne liye ab nayā rāsta

apne andar zarā jhāñk mere vatan

Top Urdushayar.com