Sahir Ludhianvi

naya safar hai purane charag gul kar do

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
fareb-e-jannat-e-fardā ke jaal TuuT ga.e
hayāt apnī umīdoñ pe sharmsār sī hai
fazā meñ garm bagūloñ kā raqs jaarī hai
ufuq pe ḳhuun kī miinā chhalak rahī hai abhī
fazā.eñ soch rahī haiñ ki ibn-e-ādam ne
ḳhirad gañvā ke junūñ aazmā ke kyā paayā
bhaTak ke rah ga.iiñ nazreñ ḳhalā kī vus.at meñ
harīm-e-shāhid-e-rā.anā kā kuchh pata na milā
safar-nasīb rafīqo qadam baḌhā.e chalo
purāne rāh-numā lauT kar na dekheñge
Top Urdushayar.com