Sahir Ludhianvi

lahu nazr de rahi hai hayat

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980

mire jahāñ meñ saman-zār DhūñDne vaale

yahāñ bahār nahīñ ātishīñ bagūle haiñ

dhanak ke rañg nahīñ surma.ī fazāoñ meñ

ufuq se tā-ba-ufuq phāñsiyoñ ke jhūle haiñ

phir ek manzil-e-ḳhūñbār taraf haiñ ravāñ

vo rahnumā jo ka.ī baar raah bhūle haiñ

buland da.ava-e-jamhūriyat ke parde meñ

faroġh-e-majlis-o-zindāñ haiñ tāziyāne haiñ

ba-nām-e-amn haiñ jañg-o-jadal ke mansūbe

ba-shor-e-adl tafāvut ke kār-ḳhāne haiñ

diloñ pe ḳhauf ke pahre laboñ pe qufl sukūt

suroñ pe garm salāḳhoñ ke shāmiyāne haiñ

magar haTe haiñ kahīñ jabr aur tashaddud miTe

vo falsafe ki jilā de ga.e dimāġhoñ ko

koī sipāh-e-sitam pesha chuur kar na sakī

bashar jaagī huī ruuh ke ayāġhoñ ko

qadam qadam pe lahū nazar de rahī hai hayāt

sipāhiyoñ se ulajhte hue charāġhoñ ko

ravāñ hai qāfila-e-irtiqā-e-insānī

nizām-e-ātish-o-āhan dil hilā.e hue

baġhāvatoñ ke duhal baj rahe haiñ chaar taraf

nikal rahe haiñ javāñ mish.aleñ jalā.e hue

tamām arz-e-jahāñ kholtā samundar hai

tamām koh-o-bayābāñ haiñ tilmilā.e hue

mirī sadā ko dabānā to ḳhair mumkin hai

magar hayāt lalkār kaun rokegā

fasīl-e-ātish-o-āhan bahut buland sahī

badalte vaqt raftār kaun rokegā

panāh letā hai jin majlisoñ meñ tiira nizām

vahīñ se sub.h ke lashkar nikalne vaale haiñ

ubhar rahe haiñ fazāoñ meñ ahmarīñ parcham

kināre mashriq-o-maġhrib ke milne vaale haiñ

hazār barq gire laakh āñdhiyāñ uTheñ

vo phuul khil ke raheñge jo khilne vaale haiñ

Top Urdushayar.com