Sahir Ludhianvi

aao ki koi KHwab bunen

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
aao ki koī ḳhvāb buneñ kal ke vāste
varna ye raat aaj ke sañgīn daur kī
go ham se bhāgtī rahī ye tez-gām umar
ḳhvāboñ ke āsare pe kaTī hai tamām umar
zulfoñ ke ḳhvāb hoñToñ ke ḳhvāb aur badan ke ḳhvāb
me.arāj-e-fan ke ḳhvāb kamāl-e-suḳhan ke ḳhvāb
ye ḳhvāb hī to apnī javānī ke paas the
ye ḳhvāb hī to apne amal kī asaas the
aao ki koī ḳhvāb buneñ kal ke vāste
varna ye raat aaj ke sañgīn daur kī
Top Urdushayar.com