Hamida Shahin

na jaane kab likha jae

Hamida Shahin

Lahore, Punjab, Pakistan

1963
tahayyur kī fazāoñ meñ
koī aisā parinda hai
hai koī ḳhvāb aisā bhī
azal se hai jo an-dekhā
koī aisī sadā bhī hai
samā.at se varā hai jo
basārat kī hadoñ se duur ik manzar hai jo ab tak
tasavvur meñ nahīñ aayā
kahīñ kuchh hai
jo ik pal dil meñ aa Thahre
jo lafzoñ meñ rache to baat phūloñ kī tarah mahke
agar lamhoñ meñ dhaḌke to zamānoñ meñ sadā phaile
vo shāyad hai
ik aisī dāstāñ jo ruuh ke andar hai poshīda
muqaddar hī badal jaa.e
use gar likh diyā jaa.e
Top Urdushayar.com