is  qadar  hasīñ  chehra
is  qadar  hasīñ  āñkheñ
mujh  ko  yaad  aatā  hai
jab  tumhārī  kilkārī
tum  hañsī  uḌāte  the
qahqahe  lagāte  the
kis  ne  ye  sikhā.e  sab
naaz  aur  adā  tum  ko
aur  jab  khulīñ  āñkheñ
hairatī  thā  ā.īna
phir  jo  lab  hue  goyā
kuchh  yaqīñ  na  aatā  thā
aag  hai  ki  paanī  hai
phuul  hai  ki  chehra  hai
haañ  sunā  ye  thā  maiñ  ne
arsh  se  farishta  ik
so  yaqīn  hai  merā
jis  aziim  saa.at  meñ