ek  an-jānā  sā  Dar
jab  vo  paidā  huī  thī
ek  añdherī  koTharī  kā  ḳhauf
rag  rag  meñ  basā  thā
jab  zarā  sā  vaqt  guzrā
aql  ke  tāroñ  kī  jumbish  se  badan  jaagā
phir  ḳharīdāroñ  kī  duniyā  meñ  zarā  sun-gun  huī
dil  dhaḌakne  kī  sadā  mādūm  ho  kar  rah  ga.ī
phir  zarā  sā  hosh  aayā
daur-e-nau-umrī  gayā  to  aañkh  se  parda  haTā
ab  vo  is  raste  meñ  hai  sab  jis  ko  rāh-e-marg  kahte  haiñ
munjamid  āñkhoñ  meñ  ab  manzar  Thaharte  hī  nahīñ
us  kī  andhī  koTharī  par  ek  katba  nasb  hai
''is  jagah  dildār-begam  dafn  hai
vo  afīfa  pārsā  sābir-o-shākir  so  rahī  hai