har  ek  jism  mirā  hai,  har  ek  jaan  mirī
ye  ḳhāl-o-ḳhad  mire  apne,  ye  ān-bān  mirī
hazār-hā  mirī  peshāniyoñ  ke  chāñd  bujhe
hazār-hā  mire  lab  ham-kanār-e-zahr  hue
jahāñ  pe  aag  lagī  hai,  vahāñ  khilaune  the
jahāñ  pe  ḳhaak  uḌī  hai,  vahāñ  pe  jhūle  the
sitam  to  ye  hai  ki  mazlūm  maiñ  huuñ,  zālim  maiñ
har  ek  zaḳhm  mujhī  se  hisāb  māñgegā!