agar  aaj  bhī  bolī-Tholī  na  hogī
to  holī  Thikāne  kī  holī  na  hogī
baḌī  gāliyāñ  degā  phāgun  kā  mausam
agar  aaj  ThaTThā  ThiTholī  na  hogī
vo  kholeñge  āvāra  mausam  ke  jhoñke
jo  khiḌkī  sharāfat  ne  kholī  na  hogī
hai  holī  kā  din  kam  se  kam  dopahar  tak
kisī  ke  Thikāne  kī  bolī  na  hogī
abhī  se  na  chakkar  lagā  mast  bhañvre
kalī  ne  abhī  aañkh  kholī  na  hogī
ye  boTī  parī  ban  ke  uḌne  lagegī
zarā  gholiye  phir  se  gholī  na  hogī
isī  jeb  meñ  hogī  fitne  kī  puḌiyā
zarā  phir  TaTolo  TaTolī  na  hogī
'nazīr'  aaj  ā.eñge  milne  yaqīnan
na  aa.e  to  aaj  un  kī  holī  na  hogī