mirī  sāñsoñ  ko  giit  aur  aatmā  ko  saaz  detī  hai
ye  dīvālī  hai  sab  ko  jiine  kā  andāz  detī  hai
simaTtā  hai  añdherā  paañv  phailātī  hai  dīvālī
hañsā.e  jaatī  hai  rajnī  hañse  jaatī  hai  dīvālī
qatāreñ  dekhtā  huuñ  chalte-phirte  māh-pāroñ  kī
ghaTā.eñ  āñchaloñ  kī  aur  barkhā  hai  sitāroñ  kī
nigāhoñ  kā  muqaddar  aa  ke  chamkātī  hai  dīvālī
pahan  kar  dīp-mālā  naaz  farmātī  hai  dīvālī
ujāle  kā  zamāna  hai  ujāle  kī  javānī  hai
ye  hañstī  jagmagātī  raat  sab  rātoñ  kī  raanī  hai
vo  jīvan  aaj  kī  raat  aa  ke  barsātī  hai  dīvālī
pasīna  maut  ke  māthe  pe  chhalkātī  hai  dīvālī
sabhī  ke  diip  sundar  haiñ  hamāre  kyā  tumhāre  kyā
ujālā  har  taraf  hai  is  kināre  us  kināre  kyā
hazāroñ  saal  guzre  phir  bhī  jab  aatī  hai  dīvālī
mahal  ho  chāhe  kuTiyā  sab  pe  chhā  jaatī  hai  dīvālī
isī  din  darupadī  ne  krishn  ko  bhaa.ī  banāyā  thā
vachan  ke  dene  vaale  ne  vachan  apnā  nibhāyā  thā
ka.ī  itihās  ko  ek  saath  dohrātī  hai  dīvālī
mohabbat  par  vijay  ke  phuul  barsātī  hai  dīvālī
gale  meñ  haar  phūloñ  kā  charan  meñ  dīp-mālā.eñ
mukuT  sar  par  hai  mukh  par  zindagī  kī  rūp-rekhā.eñ
ajab  andāz  se  rah  rah  ke  muskātī  hai  dīvālī
mohabbat  kī  lahar  nas  nas  meñ  dauḌātī  hai  dīvālī
tumhārā  huuñ  tum  apnī  baat  mujh  se  kyuuñ  chhupāte  ho
mujhe  ma.alūm  hai  jis  ke  liye  chakkar  lagāte  ho
na  jaao  aise  meñ  bāhar  'nazīr'  aatī  hai  dīvālī
ye  kāshī  hai  yahīñ  to  rañg  dikhlātī  hai  dīvālī