tā-hadd-e-nazar  jab  nazroñ  meñ  jannat  ke  nazāre  hote  the
bātoñ  meñ  kinā.e  hote  the  nazroñ  meñ  ishāre  hote  the
vo  raat  kā  sundar  sannāTā  chup  sādhe  hue  jaise  manzil
gañgā  kī  dhaḌaktī  chhātī  par  armāñ  ke  diye  jhilmil  jhilmil
har  mauj-e-ravāñ  par  lahrātī  hañstī  sī  rupahlī  ik  dhārī
jaise  kisī  chanchal  ke  tan  par  lahrā.e  banaras  kī  saarī
ashnān  nigāheñ  kartī  thiiñ  parkāsh  kī  chaḌhtī  naddī  meñ
ākāsh  ke  ubhre  taare  the  Duube  hue  kaif-o-mastī  meñ
mahtāb  kī  kirneñ  jhuk  jhuk  kar  kuchh  jaal  rupahlī  buntī  thiiñ
gañgā  kī  qasam  maujeñ  aa  kar  qadmoñ  pe  sar  apnā  dhuntī  thiiñ
yuuñ  raag  sā  chheḌe  rahtā  thā  bahtā  huā  paanī  kā  dhārā
jaise  koī  jogī  raat  ga.e  gaatā  ho  bajā  kar  ik  taarā
armānoñ  kī  kaliyāñ  khiltī  thiiñ  āshāoñ  ke  dīpak  jalte  the
badmast  havāoñ  ke  jhoñke  chalte  hue  pañkhā  jhalte  the
gañgā  ke  kināre  aate  the  āzād  tabī.at  hotī  thī
bebāk  se  ham  tum  rahte  the  bebāk  mohabbat  hotī  thī
jaise  ki  'nazīr'  un  rātoñ  par  qudrat  bhī  karam  farmātī  thī
bedār  ḳhudā  kar  detā  thā  āñkhoñ  meñ  agar  niiñd  aatī  thī