nazar  se  aaj  jo  guzrī  haiñ  chand  tasvīreñ
vo  dil  pe  naqsh  haiñ  jaise  lahū  kī  tahrīreñ
basī  hai  jañg-e-sirañgā-paTām  āñkhoñ  meñ
kisī  shahīd  pe  saaya  kiye  haiñ  shamshīreñ
ġhulām  qaum  tujhe  kuchh  hayā  bhī  aatī  hai
haiñ  tere  chāñd  ye  ḳhāk-afganī  kī  tadbīreñ
tirā  charāġh  sar-e-shām  bujh  gayā  lekin
sahar  ke  bhes  meñ  phaileñgī  us  kī  tanvīreñ
mire  shahīd  tire  nā-e-pāk  se  qaumeñ
kareñgī  āya-e-hubb-e-vatan  kī  tafsīreñ
payām-e-sa.ī-e-sar-afrāzī-e-vatan  hai  tū
shahīd-o-ġhāzī-o-jarrār-o-saf-shikan  hai  tū
siyāsat-e-vatanī  kī  fazā  thī  zahr-ālūd
havā-e-ġharb  thī  nā-sāzgār-o-nā-mas.ūd
sabāh-e-daulat-e-taimūriya  kī  aa.ī  thī  shaam
paḌā  thā  nayyar-e-iqbāl-e-hind  sar-ba-sujūd
guloñ  ko  loriyāñ  detā  thā  e'tibār-e-bahār
chaman  meñ  sabza-e-begāna  pā  rahā  thā  numūd
hai  tere  ba.ad  tirī  yaad  iftiḳhār-e-vatan
tirā  mazār  hai  sham-e-sar-e-mazār-e-vatan
pukārtī  haiñ  sirañgā-paTam  kī  dīvāreñ
ki  ham  ko  yaad  haiñ  vo  goliyoñ  kī  bauchhāreñ
dahan  kushāda  haiñ  choToñ  ke  ghaav  kyā  ma.alūm
ye  kab  hamīyat-e-hubb-e-vatan  ko  lālkāreñ
shahīd-e-zinda-e-jāved  haiñ  vahī  sāvañt
jo  nām-e-pāk-e-vatan  par  laḌeñ  mareñ  māreñ
is  ek  jān-e-girāmī  pe  laakh  jaañ  sadqe
is  ek  maut  pe  sau  umr-e-jāvedāñ  sadqe