Ijtiba Rizvi

pahnai

Ijtiba Rizvi

Chhapra, Bihar, India

1908-1991
chhe hazār barsoñ se ahl-e-dīn-o-dānish ne
baar baar koshish kī baar baar koshish kī
koī pul banā sakte us ḳhamosh khaa.ī par
jis kī ek jānib ko roz-e-āfrīnash se
har anā ke Tiile se lā-anā kī ik Dhalvān
ik athāh sī Dhalvān be-panāh sī Dhalvān
ik khulā dahāna sā jis kī tah bhī hai ḳhālī
be-muzāhamat vus.at be-vajūd maujūdī
narm narm sannāTā guñg guñg pahnā.ī
narm o guñg pahnā.ī maañ hai un chaTānoñ kī
chashmak-e-sharar ban kar har faroġh-e-musta.ajal
is aziim vus.at ke ḳhvāb-nāk siine meñ
narmiyoñ se Dartī hai saḳhtiyoñ kī ye duniyā
vus.atoñ se Dartī hai tañgiyoñ kī ye duniyā
narmiyoñ kī zad se hai saḳhtiyoñ meñ mahjūrī
khā.īyoñ kā ḳhamyāza choTiyoñ kī hai duurī
is athāh khaa.ī se pattharoñ ko vahshat hai
be-ḳhudī kī vus.at se har ḳhudī pe dahshat hai
khā.īyoñ pe pul bāñdho khā.īyoñ pe pul bāñdho
saḳhtiyoñ se saḳhtī tak narmiyoñ pe pul bāñdho
Top Urdushayar.com