chhe  hazār  barsoñ  se  ahl-e-dīn-o-dānish  ne
baar  baar  koshish  kī  baar  baar  koshish  kī
koī  pul  banā  sakte  us  ḳhamosh  khaa.ī  par
jis  kī  ek  jānib  ko  roz-e-āfrīnash  se
har  anā  ke  Tiile  se  lā-anā  kī  ik  Dhalvān
ik  athāh  sī  Dhalvān  be-panāh  sī  Dhalvān
ik  khulā  dahāna  sā  jis  kī  tah  bhī  hai  ḳhālī
be-muzāhamat  vus.at  be-vajūd  maujūdī
narm  narm  sannāTā  guñg  guñg  pahnā.ī
narm  o  guñg  pahnā.ī  maañ  hai  un  chaTānoñ  kī
chashmak-e-sharar  ban  kar  har  faroġh-e-musta.ajal
is  aziim  vus.at  ke  ḳhvāb-nāk  siine  meñ
narmiyoñ  se  Dartī  hai  saḳhtiyoñ  kī  ye  duniyā
vus.atoñ  se  Dartī  hai  tañgiyoñ  kī  ye  duniyā
narmiyoñ  kī  zad  se  hai  saḳhtiyoñ  meñ  mahjūrī
khā.īyoñ  kā  ḳhamyāza  choTiyoñ  kī  hai  duurī
is  athāh  khaa.ī  se  pattharoñ  ko  vahshat  hai
be-ḳhudī  kī  vus.at  se  har  ḳhudī  pe  dahshat  hai
khā.īyoñ  pe  pul  bāñdho  khā.īyoñ  pe  pul  bāñdho
saḳhtiyoñ  se  saḳhtī  tak  narmiyoñ  pe  pul  bāñdho