kuchh  intizār  aur  karo  sabr-e-nāgavār  aur  karo
kuchh  apne  saroñ  ko  qalam  garebāñ  ko  chaak  aur  karo
sub.h  hone  meñ  vaqt  hai  yā  sirf  aisā  lagtā  hai
dard  siine  meñ  uTh  uTh  ke  nākāmiyoñ  ko  rotā  hai
ye  bhī  mumkin  hai  ki  fazā  palaT  na  sake
sub.h  jo  hotī  dikhtī  hai  kabhī  bhī  ho  na  sake
ham  devtā  kā  daano  kā  farq  bhuul  chuke  haiñ
kaḌī  davā  kā  mīThe  zahr  kā  farq  bhuul  chuke  haiñ
uTho  ki  ḳhud  ko  pahchāno  apnā  hausla  joḌo
ye  salāḳheñ  ye  beḌiyāñ  ye  hathkaḌī  toḌo
phir  us  ke  baa'd  sub.h  ḳhud-ba-ḳhud  tulūa  hogī
ye  duniyā  tumhāre  sāmne  phir  se  nigūñ  hogī