mirī  yaad  tum  ko  bhī  aatī  to  hogī
guzishtā  mohabbat  satātī  to  hogī
adhūrī  mohabbat  kī  bisrī  kahānī
kabhī  dil  ke  hāthoñ  rulātī  to  hogī
na  jaane  kahāñ  ham  na  jaane  kahāñ  tum
ye  bichhḌoñ  ko  qismat  milātī  to  hogī
kahīñ  bhuul  se  mil  na  jaa.eñ  ḳhudāyā
mirī  tarah  tum  bhī  manātī  to  hogī
bas  itnā  batā  do  ki  ḳhush  ho  jahāñ  ho
nazar  aa.ine  meñ  milātī  to  hogī
zamāne  kī  tarah  na  shāyad  hañso  tum
mire  naam  par  muskurātī  to  hogī
na  tum  jiit  pā.īñ  na  ham  jiit  paa.e
ye  sahrā-nazar  DabDabātī  to  hogī
ajab  hai  ye  rishta  hamārā  tumhārā
hañsī  sī  zamāne  pe  aatī  to  hogī
ḳhalish  sī  jigar  meñ  jagātī  to  hogī
mirī  yaad  tum  ko  bhī  aatī  to  hogī