kaif-e-jāñ  nūr-e-basar  yaad  aayā
arsa-e-harf-o-hunar  yaad  aayā
dasht-e-imkān  kī  pahnā.ī  meñ
ḳhaak  bar-sar  the  ki  ghar  yaad  aayā
luTte  luTte  bhī  dil-e-mahzūñ  ko
dard  kā  raḳht-e-safar  yaad  aayā
jab  gañvā  aa.e  matā-e-hastī
tab  hameñ  jaañ  kā  zarar  yaad  aayā
bazm-e-jānāñ  hī  sahī  bazm-e-ḳhayāl
dil  kā  sannāTā  magar  yaad  aayā
shab-e-mahjūrī  meñ  hañgām-e-nazā.a
matl-e-nūr-e-sahar  yaad  aayā
phir  bujhā  diip  koī  palkoñ  par
phir  mujhe  dīda-e-tar  yaad  aayā
kaun  māñge  hai  shabistān-e-visāl
bas  ik  āshufta-nazar  yaad  aayā
phir  huā  dil  meñ  ḳhayāloñ  kā  hujūm
phir  hameñ  silk-e-guhar  yaad  aayā