Zahiir Ahmad Taaj

hangam-e-ruKHsat

Zahiir Ahmad Taaj

ashk do-chār bahā luuñ to chale jā.iyegā
ātish-e-dil ko bujhā luuñ to chale jā.iyegā
hasrat-e-dīd miTā luuñ to chale jā.iyegā
husn ko dil meñ basā luuñ to chale jā.iyegā
hausla ġham kā baḌhā luuñ to chale jā.iyegā
marg ko ziist banā luuñ to chale jā.iyegā
ḳhātir-e-dost ke unvāñ kī vazāhat kar ke
ik zarā dil ko manā luuñ to chale jā.iyegā
be-ḳhudī ḳhush-basarī aur masarrat ke evaz
ġham-e-daurāñ ko uThā luuñ to chale jā.iyegā
mehr-e-ulfat ke hasīñ lamhe bhulā kar ai dost
zauq-e-hastī ko miTā luuñ to chale jā.iyegā
talḳhī-e-vaqt kā shikva na rahe aap ke ba.ad
bār-e-ehsān uThā luuñ to chale jā.iyegā
aap kī chashm-e-karam ne mujhe mad.hosh kiyā
apne ahvāl meñ aa luuñ to chale jā.iyegā
dil jo taḌpā.e mujhe dekhne aa jaa.eñ aap
jazb is darja baḌhā luuñ to chale jā.iyegā
Top Urdushayar.com