Kaifi Azmi

barsat ki ek raat

Kaifi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1919-2002
ye barsāt ye mausam-e-shādmānī
ḳhas-o-ḳhār par phaT paḌī hai javānī
fazā jhūmtī hai ghaTā jhūmtī hai
daraḳhtoñ ko zau barq kī chūmtī hai
kaḌaktī hai bijlī chamaktī haiñ būñdeñ
lapaktā hai kauñdā damaktī haiñ būñdeñ
falak gā rahā hai zamīñ gā rahī hai
kaleje meñ har lai chubhī jā rahī hai
chamaktā hai bujhtā hai tharrā rahā hai
bhaTakne kī jugnū sazā pā rahā hai
lachak kar sambhalte haiñ jab abr-pāre
baraste haiñ dāman se dum-dār taare
fazā jhuum kar rañg barsā rahī hai
har ik saañs sho.ala banī jā rahī hai
bhalā lutf kyā manzar-e-pur-asar de
ki ashkoñ ne āñkhoñ pe Daale haiñ parde
Top Urdushayar.com