ik  charāgah  harī  bharī  thī  kahīñ
thī  sarāpā  bahār  jis  kī  zamīñ
kyā  samāñ  us  bahār  kā  ho  bayāñ
har  taraf  saaf  nadiyāñ  thiiñ  ravāñ
the  anāroñ  ke  be-shumār  daraḳht
aur  pīpal  ke  sāya-dār  daraḳht
ThanDī  ThanDī  havā.eñ  aatī  thiiñ
tā.eroñ  kī  sadā.eñ  aatī  thiiñ
kisī  naddī  ke  paas  ik  bakrī
charte  charte  kahīñ  se  aa  niklī
jab  Thahar  kar  idhar  udhar  dekhā
paas  ik  gaay  ko  khaḌe  paayā
pahle  jhuk  kar  use  salām  kiyā
phir  salīqe  se  yuuñ  kalām  kiyā
kyoñ  baḌī  bī  mizāj  kaise  haiñ
gaay  bolī  ki  ḳhair  achchhe  haiñ
kaT  rahī  hai  burī-bhalī  apnī
hai  musībat  meñ  zindagī  apnī
jaan  par  aa  banī  hai  kyā  kahiye
apnī  qismat  burī  hai  kyā  kahiye
dekhtī  huuñ  ḳhudā  kī  shaan  ko  maiñ
ro  rahī  huuñ  buroñ  kī  jaan  ko  maiñ
zor  chaltā  nahīñ  ġharīboñ  kā
pesh  aayā  likhā  nasīboñ  kā
aadmī  se  koī  bhalā  na  kare
us  se  paalā  paḌe  ḳhudā  na  kare
duudh  kam  duuñ  to  baḌbaḌātā  hai
huuñ  jo  dublī  to  bech  khātā  hai
hathkandoñ  se  ġhulām  kartā  hai
kin  fareboñ  se  raam  kartā  hai
us  ke  bachchoñ  ko  pāltī  huuñ  maiñ
duudh  se  jaan  Dāltī  huuñ  maiñ
badle  nekī  ke  ye  burā.ī  hai
mere  allāh  tirī  duhā.ī  hai
sun  ke  bakrī  ye  mājrā  saarā
bolī  aisā  gila  nahīñ  achchhā
baat  sachchī  hai  be-maza  lagtī
maiñ  kahūñgī  magar  ḳhudā-lagtī
ye  charāgah  ye  ThanDī  ThanDī  havā
ye  harī  ghaas  aur  ye  saaya
aisī  ḳhushiyāñ  hameñ  nasīb  kahāñ
ye  kahāñ  be-zabāñ  ġharīb  kahāñ
ye  maze  aadmī  ke  dam  se  haiñ
lutf  saare  usī  ke  dam  se  haiñ
us  ke  dam  se  hai  apnī  ābādī
qaid  ham  ko  bhalī  ki  āzādī
sau  tarah  kā  banoñ  meñ  hai  khaTkā
vaañ  kī  guzrān  se  bachā.e  ḳhudā
ham  pe  ehsān  hai  baḌā  us  kā
ham  ko  zebā  nahīñ  gila  us  kā
qadr  ārām  kī  agar  samjho
aadmī  kā  kabhī  gila  na  karo
gaay  sun  kar  ye  baat  sharmā.ī
aadmī  ke  gile  se  pachhtā.ī
dil  meñ  parkhā  bhalā-burā  us  ne
aur  kuchh  soch  kar  kahā  us  ne
yuuñ  to  chhoTī  hai  zaat  bakrī  kī
dil  ko  lagtī  hai  baat  bakrī  kī