aatā  hai  yaad  mujh  ko  guzrā  huā  zamāna
vo  baaġh  kī  bahāreñ  vo  sab  kā  chahchahānā
kyā  bad-nasīb  huuñ  maiñ  ghar  ko  taras  rahā  huuñ
sāthī  to  haiñ  vatan  meñ  maiñ  qaid  meñ  paḌā  huuñ
jab  se  chaman  chhuTā  hai  ye  haal  ho  gayā  hai
dil  ġham  ko  khā  rahā  hai  ġham  dil  ko  khā  rahā  hai