bazm-e-jahāñ  meñ  meñ  bhī  huuñ  a  sham-e-dardmand
faryād  dar  girah-e-sifat  daana  sipand
yak-bīñ  tirī  nazar  sifat-e-āshiqān-e-rāz
merī  nigāh  māya-e-āshob-e-imtiyāz
jaltī  hai  tū  ki  barq-e-tajallī  se  duur  hai
be-dard  tere  soz  ko  samjhe  ki  nuur  hai
ye  āgahī  marī  mujhe  rakhtī  hai  be-qarār
ḳhvābīda  is  sharar  meñ  haiñ  ātish-kade  hazār
sub.h-e-azal  jo  husn  huā  dilsitān-e-ishq
āvāz-e-kun  huī  tapish  āmoz-e-jān-e-ishq
a  sham.a  intihā-e-fareb-e-ḳhyāl  dekh
masjūd  sākinān-e-falak  kā  ma.aal  dekh