Ali Sardar Jafri

sar-e-tur

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
dil ko be-tāb rakhtī hai ik aarzū
kam hai ye vus.at-e-ālam-e-rañg-o-bū
hai zamīñ parda-e-lāla-o-nastaran
āsmāñ parda-e-kahkashāñ hai abhī
haath kaaTe ga.e jur.at-e-shauq par
ḳhūñ-chakāñ ho ke vo gul-fishāñ ho ga.e
aql-chālāk ne dī hai aa kar ḳhabar
ik shabistāñ hai aivān-e-mahtāb meñ
shauq kī had magar chāñd tak to nahīñ
hai abhī rif.at-e-āsmāñ aur bhī
aaj dast-e-junūñ par hai sham-e-ḳhirad
do jahāñ jis ke shole se ma.amūr haiñ
Top Urdushayar.com