Ali Sardar Jafri

tumhaara shahr

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000

tumhārā shahr tumhāre badan ḳhushbū se

mahak rahā thaa, har ik baam tum se raushan thā

tumhārā naam tasavvur bhī thaa, taḳhayyul bhī

yaqīñ bhii, shauq bhii, ummīd bhii, tamannā bhī

magar ye kyā hai ki har kūcha aaj vīrāñ hai

galī galī meñ haiñ faulād-pā siyah ifrīt

tumhārā shahr, tumhāre badan ḳhushbū ko

taras rahā hai, har ik baam tīra-e-sāmāñ hai

ḳhabar nahīñ ki yahāñ se kidhar ko jaanā hai

vo ik julūs ik moḌ par nazar aayā

koī aziim janāza guzarne vaalā hai

magar janāza kahīñ bhī nazar nahīñ aatā

kafan-farosh bhī haiñ, gorkan bhī haiñ lekin

chalo qarīb se dekheñ ye bad-nasīb haiñ kaun

clerk haiñ jo abhī daftaroñ se nikle haiñ

julūs-e-ġham hai janāza ba-dosh chaltā hai

magar janāza kidhar hai nazar nahīñ aatā

Top Urdushayar.com