Ali Sardar Jafri

qatl-e-aftab

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000

shafaq ke rañg meñ hai qatl-e-āftāb rañg

ufuq ke dil meñ hai ḳhanjar lahū-luhān hai shaam

yaqīñ zikr kyā hai ki ab gumāñ bhī nahīñ

maqām-e-dard nahīñ manzil-e-fuġhāñ bhī nahīñ

magar ye jañg nahīñ vo jo ḳhatm ho jaa.e

ik intihā hai faqat husn-e-ibtidā ke liye

vo pahnā sham.a ne phir ḳhūn-e-āftāb taaj

sitāre le ke uThe nūr-e-āftāb ke jaam

hazār lab se zamīñ kah rahī hai qissa-e-dard

hazār gosh-e-junūñ sun rahe haiñ afsāna

chaTak rahī haiñ kahīñ tīrgī dīvāreñ

lachak rahī haiñ kahīñ shāḳh-e-gul talvāreñ

javān ḳhvāboñ ke jañgal se aa rahī hai nasīm

nafas meñ nik.hat-e-paiġhām-e-inqalāb liye

Top Urdushayar.com