gila  hai  kam-nigahī  ko  meñ  kāmgār  nahīñ
hanūz  nudrat-e-kirdār  āshkār  nahīñ
mirā  vo  soz  hai  nā-mahramoñ  meñ  be-ta.abīr
mah-o-sitāra  ko  jis  ke  liye  qarār  nahīñ
mirā  sukūt  javāb  aa.ina  hai  un  ke  liye
vo  jin  kī  raa.e  meñ  dīvāna  honhār  nahīñ
nahīñ  hai  koī  daraḳhshanda  barq  jis  kī  misāl
mushābah  jis  ke  koī  guhar-e-ābdār  nahīñ
sazā-e-ḳhvesh  hai  ḳhud  sat.h-e-chashm-e-zāhir  meñ
jise  ma.ānī-e-shā.ir  pe  e'tibār  nahīñ
sabab  haiñ  aur  bhī  lekin  ba-juz  do-harf  javāb
adā-e-zail  se  maqsūd  zīnhār  nahīñ
tumhīñ  kaho  hai  mirā  kaun  sā  karam-farmā
ki  jis  kī  ḳhātir-e-bargashta  meñ  ġhubār  nahīñ
ho  shād-kāmī-e-gul-gasht-e-zarf  shā.ir  kyā
musāf-e-shahr  charāgah-o-chashma-sāz  nahīñ
shaguft-e-taba  ke  sāmān-o-sāz  haiñ  nāpaid
sabā  nahīñ  chamanistāñ  nahīñ  bahār  nahīñ
mashām-e-naġhma  hai  āzurda  chahchahe  ḳhāmosh
navā-e-ġhuncha  nahīñ  nik.hat-e-hazār  nahīñ
nahīñ  bat-e-mai-e-sāqī  na  barbat-e-mutrib
bisāt-e-gul  nahīñ  āġhosh-e-gul-ezār  nahīñ
muhīt-e-ġhurbat-e-bālīñ  hai  ḳhānumāñ-sozī
koī  habīb  nahīñ  koī  ġham-gusār  nahīñ
mire  kamāl  kī  zāmin  hai  ḳhud  ye  qismat-e-ġham
ḳhushā  maiñ  ḳhasta-e-ġham  to  huuñ  sogvār  nahīñ